Ek bachha, jo apna naam Red bata raha hai, woh iss mele mein kho gaya hai. Isse chup aur akele rehna pasand hai, aur jaanwaron se kaafi pyaar hai (beta, uss kutte ko tang mat karo, kaat lega). Isse photu khichna kaafi achha lagta hai, aur saath mein painting bhi kar leta hai. Yeh bol raha hai ki yeh ek engineer hai, magar shakal dekhke lagta nahin hai. Isse ghoomne firne ka kaafi shauk hai, aur shaayad issi shauk ke karan yeh kho gaya hai. Khair, iska kad lamba aur rang saaf hai.
Yeh bachha jiska bhi ho, kripya karke isse control room se le jaayen. Aur haan, aap se anurodh hai ki apne bachhon ke naam thoda soch samajh ke rakhe. Agar yeh iss mele ki jagah kissi painting mein kho gaya hota, to aap shayad isse dhoond nahin paate!